Mazahiya Poetry in Urdu:
Jab bhi chahain murgh kha lete hain doalat-mand
Din ki pabandi nahin mangal ho ya itwar ho
Haan magar muflis ko kab hota hai yeh khana naseeb
Murgh ho bemar ya admi khud bemar ho
Mazahiya Poetry in Urdu
Larkon aur larkion ke perashani
Tarz-e-libas tazah hai ik shakl-e-Ehtejaj
Fashion ke ehtamam se keya kuch ayan nahin
Yeh larkion ka shikwah hai kiun larkiyan hain hum
Larkon ko yeh gila hai woh kiun larkiyan nahin
Mazahiya Poetry in Urdu: Wapda
Har ik ehed main zinda hai meer ka misra
Kisi se jis ki sadaqat chupi na rahi
Nizam-e-barq liya WAPDA ne hathon main
Phir uske baad chiraghon main roshni na rahi
Mazahiya Poetry in Urdu
Anwar Maqsood
Ajab dewar dekhi main ne aaj rastay main
Na kuch dewar ke agay na kuch dewar ke peechay
Baray numnaak hotey hain ‘Anwar’ qehqahay tere
Koi dewar-e-girya hai tere ashaar ke peeche
Mazahiya Poetry in Urdu
Humara Hal
Hum iss taqleed-e-afrangi ke hathon
Bohat pamaal ho kar reh gey hain
Hamarah haal abb keya poochtay ho
Faqat naqal ho kar reh gey hain
Mazahiya Poetry in Urdu
Slimming Center
Ah barhti huee aee woh “slimming center”
“Ah ko chahye ik umr asar honay takk”
“dieting” khel nahin chand dinon ka begum
Ik sadi chahye kamray ko kamar honay takk
Mazahiya Poetry in Urdu
Zoja gg
Apni zoja ke ta’ruf main kaha ik shaks ne
Dil se inka motarif hon, zubani hi nahin
Chaye bhi achi banati hai meri begum magar
Monh bananay main tou inka koi sani hi nahin
Mazahiya Poetry in Urdu
Students ki khawish
Nursery ka dakhla bhi sarsari matt janye
Apke bachay ko Aflatoon hona chahye
Dosto! English zaroori hai humary wastey
Fail honey ko bhi ik mazmoon hona chahye
Sunnah hai zindagi imtehan leti hai
Magar yehan tu imtehanon ne zindagi le lee
Mazahiya Poetry in Urdu
MERI JAAN KATREENA
Ungli Me Anguthi, Anguthi Me Nagina,
Soni Lagti Hy Teri Behan KATREENA,
Raat Nahi Kat'ti Maslay Hen Dereena,
Me Ne Kaha Bus Ker' Kehti Hy Abi Na,
Raat Ko Mila Karo Baara Maheena,
Kehti Hy Bhai Ko Batana Kabhi Na,
Itna Zaleel Ho Ker Bhi,
Bhai SMS Parh Raha Hy Kameena.. :-D
Hahhaha
Mazahiya Poetry in Urdu
Khana Khany K Baad
Ek Ajeeb Si Haalat Hai Tere Jany K Baad..
Bhook Hi Nahi Lagti Khana Khany K Baad.. :-D
Hhahaha
Mazahiya Poetry in Urdu
FLIRTY HUSBAND
Me To Shoher Hun Kisi Aur Ka Mujhy Maarti Koi Aur Hai..
Me Bulata Hun Kisi Aur Ko To Pukarti Koi Aur Hai..
Mere Ghar Me Hai Jo Nikah Me Mere Sath Wali Hai Chah Me,,
Meri Daal Mere Hi Ghar Me Hai To Bagharti Koi Aur Hai..
Hai Ajab Tarha Ki Ye Zindagi Kabhi Dosti Kabhi Dushmani,,
Mujhy Shawl Wo To Pehnati Hai To Utarti Koi Aur Hai..
Me Pareshan Ek K Ghar Raha To Pasheman Ek K Ghar Raha,,
Mere Baal Ek Hai Bigarti To Sanwarti Koi Aur Hai.. :-D
0 Comments